Paniyon Sa - by Atif Aslam & Tulsi Kumar


Jo tere sang laagi preet mohe
Rooh baar baar tera naam le
Ke Rab se hai maangi yehi duaa
Tu haathon ki laqeerien thaam le

Chup hain baatein, dil kaise bayaan main karoon
Tu hi keh de, wo jo baat main keh na sakoon

Ke sang tere paniyon sa, paniyon sa, paniyon sa behta rahoon
Tu sunti rahe main kahaniyaan si kehta rahoon
Ke sang tere baadalon sa, baadalon sa, baadalon sa udta rahoon
Tere ek ishaare pe teri or mudta rahoon

Aadhi zameen, aadha aasmaan tha
Aadhi manzilein, aadha raasta tha
Ik tere aane se mukamaal hua sab yeh
Bin tere jahaan bhi bewajah tha

Tera dil banke main saath tere dhadkoon
Khudko tujhse ab door na jaane doon

Ke sang tere paniyon sa, paniyon sa, paniyon sa behta rahoon
Tu sunti rahe main kahaniyaan si kehta rahoon
Ke sang tere baadalon sa, baadalon sa, baadalon sa udta rahoon
Tere ek ishaare pe teri or mudta rahoon


Watch on YouTube